This blog is dedicated to Poems - in English & Hindi.

Friday, November 18, 2011

Tears

11:06 AM Posted by Nikita No comments
Dekho use to sirf pani hai,
Samjho use to shayad usme koi kahani hai.
Kabhi khushi to kabhi gum mein bah jaye,
Par bin matlab baha to pareshani hai.

Koi dil se aansu bahaye,
Koi nakli aansu barsaye.
Koi ro-ro kar hanse, to koi hans-hans kar,
Par jab bhi bahaye to koi na koi baat samjhaye.

Kabhi kisi ke liye bah jaaye,
To kabhi koi inka karan ban jaaye.
Hazaron tareekon se ye aankhon se jhalak jaaye,
Kehne ko to hai sirf aansu; par bahut se roop darshaye!

Dekho use to sirf pani hai,
Samjho use to shayad usme koi kahani hai.
Kabhi khushi to kabhi gum mein bah jaye,
Par bin matlab baha to pareshani hai.

0 comments:

Post a Comment