This blog is dedicated to Poems - in English & Hindi.

Sunday, May 29, 2011

Kabhi-kabhi

11:42 AM Posted by Nikita No comments
Kabhi-kabhi dil par kabu rakhna padta hai.

Bah na jaayen unginit aansu,


Iska khayal rakhna padta hai,
Jo chot lagi hai, jo ghav mile hain,
Na chahte huye bhi unhen,
Chupaye rakhna padta hai.


Kabhi-kabhi dil par kabu rakhna padta hai!!!
Kabhi-kabhi apne akelepan ki,

Gehraiyon se pata chalta hai,
Kitne dur hain sab paas hokar bhi,

Isliye apne dard ko dabaye rakhna padta hai,
Har rishte ko, har lamhe ko,
Na chahte huye bhi nibhana padta hai.


Kabhi-kabhi dil par kabu rakhna padta hai!!!
Kabhi-kabhi ankahi baatein,
Mushkilen khadi karti hain in rahon mein,
Aa-aakar dilati hain yaad un palon ki,

Jinhe sabse chupaye rakha hai,
Woh guzra waqt laut aaye kahin se,
Ye har dua ban jati hai,

Isliye apne raaz ko bina bataye rakhna padta hai.

Kabhi-kabhi dil par kabu rakhna padta hai!!!

0 comments:

Post a Comment